Machhar kyu kat te hai
Machhar garmi ke dino me lagbhag har jagah paye jate hai, machhar lagbhag 50 hazar saalo se is dharti par hai aur hum insano ko pareshan kar rahe hai. Aisa nahi hai ki machhar sirf logo ko pareshan hi karte hai paryawaran me bhi inka mahatava purna role hai
Male ya purush machhar hume nahi kat te hai male machhar flower ya fulo ke nector ya rash par jinda rehte hai female ya mada machhar ko ande dene ke liye blood ki jaroorat hoti hai. Machhar is duniya ka sabse khatarnak janwar bhi mana ja chuka hai kuchh kuchh deso me ek bacha ek minute me machhar ke katne ke wajah se marta hai
Machhar kyu aur kaise hume kat te hai
Mada machhar apne fayde ke liye insano ka khun nahi chusti hai unhe yeh khun ya blood protein aur dusre important tatva ya component ke liye hota hai jis se wo ande de sake. Machhar kat te waqt apna lar ya saliva bhi khun ke ander dal dete hai jis se bimariya failti hai
Kuchh logo ko machhar kam kyu kat te hai
Pasine (sweat) me niklane wale kuchh tatvo ya components ki wajah se mosquitoes hume dhundh pate hai, udharan ke liye lactic acid jo dudh me bhi paya jata hai 90 percent machharo ko aakarshit kar sakta hai aisa ek test me paya gaya hai.
Machhro se prakritik tarike se Bachav kaise sambhav hai
Kuchh experts is bat ki salah dete hai agar aap garlic(Aadi) regular khate hai toh machhar aap ko kam kat sakte hai
Genda (Marigold) ka fool apne aas pas lagane se bhi machhar dur rehte hai
Kis tarah ke logo ko machhar jyada kat te hai
Aise log jinke ander jyada steroids ya cholesterol hai
Aise log jyada uric acid banate hai apne sarir me
Aise log jo jyada carbon di oxide produce karte hai jaise pregnent women and jo logo jyada mote hai
Jo log abhi excersise kar ke wapas aaye hai kyuki jyada pasina matlab jada lactic acid and other tatva jo machhar ko aakarshit karte hai
Beer Pine wale logo ko bhi machhar jayada kat te hai
Sign up here with your email
ConversionConversion EmoticonEmoticon