Paytm se Delhi metro ka card Kaise recharge kare

Paytm aaj India ka number one eWallet ban gya hai. Jab se cashless economy ki charcha suru hui h tab se paytm ki popularity aur badh gayi hai. Aap ki jannkari ke liye bata de Paytm India ka startup h jiske founder hai Vijay Shekhar Sharma aur paytm One97 communication ka Hissa h.

Paytm Kaise install kare phone me

1. Apne Android Phone ke Menu me jaye
2. Yaha Google Play Store dhundhe
3. Usme Paytm Search Kare
4. Download and Install Kare

Paytm Se Delhi Metro ka Card kaise recharge kare 

1.Agar aap ke phone me Paytm pehle se install hai to aap Paytm account me Signup kare ya Login Kare
2. Paytm me account banane ke liye aapko apna phone number dena hoga aap bina email ke bhi aap Paytm account bana sakta hai.
3. Account banane ke liye apna phone number daliye iske bad aap ke phone par ek OTP ya one time password aayega uske bina Paytm me Login nhi hoga.
4. Paytm per recharge options me jaye jaha aapko Metro Likha hua milega


























5. Metro Pe Click Kare Uske bad Delhi Metro Select kare

6. Delhi Metro Select Karne ke bad aap ko apna Metro Card Ka Number daliye

7. Metro Card Ka number card ke pichhe likha hota hai

8. Card ka Number dalne ke bad aap paise bachane ke liye koi Paytm Coupon bhi use kar sakte hai
9. Proceed button pe click kare


             

10. Delhi Metro ka successful Rechage hone ke bad bhi aap ke card me balance nhi aaya toh pareshan hone ki bat nahi hai. Aap ka paisa safe hai

11. aap ko delhi metro ke AVM (Add Value Machine me insert karna hoga) aur "Add Value button" par click karna hoga

12. Iske bad successfully aap ka balance aap ke card me aa jayega
Tags: Paytm se Metro Card kaise Recharge Kare, Paytm Recharge ke bad bhi balance nahi aaya, Paytm se Metro Card me kaise paise dale
Previous
Next Post »